ruh-e-ehsas hai tahi-daman
dil hai ya hasraton ka ik madfan
phailti ja rahi hai tariki
shaam mahsus kar rahi hai thakan
multafit jab se hai nazar un ki
dil ko dar-pesh hai na.i uljhan
meri yadon se gul-ba-daman hai
ek zohra-jamal ka angan
adamiyat kahin na ho rusva
zindagi ka badal raha hai chalan
har sitara mire muqaddar ka
un ke mathe ki ban gaya hai shikan
luT chuka huun rah-e-tamanna men
aarzu ab to chhoḌ de daman
kis ko apna kahen ki ai ‘nasir’
har hasin shaḳhs hai vafa dushman
Leave a Reply