mohabbat se tiri yaden jaga kar so raha huun
main aadhi raat ko ḳhushbu laga kar so raha huun
suna hai jab se tu ne raat ankhon men basar ki
main bistar ki jagah kanTe bichha kar so raha huun
main dariya huun miri gahra.i poshida hai mujh men
giraft-e-ḳhak se daman chhuḌa kar so raha huun
vo ghar men hai magar kahta hai koi ghar nahin hai
to main bhi aaj virane men ja kar so raha huun
nahin hai dastaras men ab zamin ka koi TukḌa
so main kaghaz pe apna ghar bana kar so raha huun
vo ḳhvahish jis ko siine se abhi lipTa raha tha
isi ko apne pahlu se haTa kar so raha huun
Leave a Reply