abhi apne martaba-e-husn se miyan ba-khabar tu hua nahin
ki ghazal-sara tire baagh men koi murgh-e-taza-nava nahin
jo gali men yaar ki jaun huun to ajal kahe hai ye rahm kha
tu sitam-rasida na ja udhar koi zinda vaan se phira nahin
vo gharib-o-be-kas-o-zar tha tujhe us ka deta huun main pata
tire kushta ka vo mazar tha ki charagh jis men jala nahin
jo hakim paas main jaun huun to vo dosti se sunae hai
tu maash ki bhi talash kar ye maqam-e-faqr-o-fana nahin
mujhe ishq rakhta hai sar-nigun mira jaal puchho na kya kahun
main habab-e-bahr ka shisha huun mire tutne ki sada nahin
tire khaksaron ne apna sar nahin piita dasht men is qadar
ki bagula vaan se ghubar ka taraf asman ke gaya nahin
na nasim-e-bagh-o-bahar huun na fida-e-ru-e-nigar huun
main gharib-e-shahr-o-dayar huun miri dair o kaaba men ja nahin
tire nakhl-e-husn ki konplen abhi na-shagufta hain ai pari
jo nasim aai hai us ne bhi inhen kuchh samajh ke chhua nahin
tire gesuon men jo jaati hai to mira hi haal kah aati hai
miri khasm-e-jan bhi to is qadar ye nasim-e-nafa-kusha nahin
na main rahne vaala huun baagh ka na safir-sanj huun raag ka
mujhe dhunde hai so vo kis jagah kahin ashiyan-e-huma nahin
koi zakhm-khurda hai khaar ka koi khun-tapida bahar ka
hai mira hi hausla ‘mushafi’ ki kisi se mujh ko gila nahin
Leave a Reply