gham yaan to bika hua khada hai
fidvi hai fida hua khada hai
hilta nahin tere dar se ye ishq
muddat se mila hua khada hai
khunin-kafan-e-shahid-e-ulfat
dulha sa bana hua khada hai
tuk gosha-e-chashm idhar bhi koi
kone se laga hua khada hai
daman ka hai gher gird-e-janan
kyuun ji vo ghira hua khada hai
yuun dil ko baghal men main ne paala
ye mujh pe pila hua khada hai
kya samjhe namaz-e-ishq naseh
qible se bhara hua khada hai
mujre ko tumhare abruon ke
mehrab jhuka hua khada hai
mizan nahin milti meri us ki
ghussa men pila hua khada hai
ghar se to nikal ki dar pe ‘ehsan’
kya gham men ghira hua khada hai
palkon se giri hai ashk tap tap
pat se vo laga hua khada hai
Leave a Reply