tu miri jaan gar nahin aati
ziist hoti nazar nahin aati
dilruba.i o dilbari tujh ko
go ki aati hai par nahin aati
hal-e-dil misl-e-sham.a raushan hai
go mujhe baat kar nahin aati
har dam aati hai garche aah par aah
par koi kargar nahin aati
kya kahun aah main kisu ke huzur
niind kis baat par nahin aati
nahin ma.alum dil pe kya guzri
in dinon kuchh ḳhabar nahin aati
kiije na-mehrbani hi aa kar
mehrbani agar nahin aati
din kaTa jis tarah kaTa lekin
raat kaTti nazar nahin aati
zahiran kuchh siva.e mehr-o-vafa
baat tujh ko ‘asar’ nahin aati
Leave a Reply