kaniz-e-vaqt ko nilam kar diya sab ne
ye vahm kya hai baḌa kaam kar diya sab ne
koi bhi shaḳhs sehat-mand kya nazar aa.e
munafarat ka sabaq aam kar diya sab ne
mili na jab unhen ta.abir apne ḳhvabon ki
phir apni ankhon ko nilam kar diya sab ne
bura samajh ke buzurgon ne jis ko chhoḌa tha
vo kar-e-bad ḳhush-anjam diya sab ne
har ek sach ko to mansub kar liya ḳhud se
tamam jhuuT mire naam kar diya sab ne
jo apne ahd ko sachcha.i banTta tha ‘zafar’
us ek shaḳhs ko badnam kar diya sab ne
Leave a Reply