na gul se kaam hai ham ko na kuchh gulzar se matlab
ba-jan rakhte hain ik hamdam badal ik yaar se matlab
na kaam aalam se hai ham ko na hur-ul-ain-e-jannat se
hai ik mad.hosh dana-tar ba-dil-hoshiyar se matlab
na millat hai na maz.hab hai na hai matlab koi apna
visal-e-yar maz.hab hai aur hai didar se matlab
tasavvur hai na kaam apna siva murshid ki nisbat ke
tujhe hai in dinon ai dil shah-e-karrar se matlab
kaha makru-o-makrullah ḳhair-ul-makrin jis ne
chhupa ḳhud mujh ko zahir kar hai us makkar se matlab
main vo vasil huun dilbar se ki dil apna hai vo dilbar
raha dil hi se kaam apna usi gham-ḳhvar se matlab
na ham ye hain na ham vo hain na ham hargiz hain goshe men
ghulam-e-qul-ho-allah hain isi iz.har se matlab
na kafir hain na momin hain na masjid hai na mai-ḳhana
na tasbih-o-musalla hai na hai zunnar se matlab
na ham aadam na havva hain na ham hur-o-malak yaaro
na ham ganjina pinhan hain na hai iz.har se matlab
zaval-e-jan-o-tan hai yaan na hirs-o-ma-o-man baaqi
habab-e-ab-e-dariya hain na hai iftar se matlab
nasab ho ya hasab donon mubarak hoven zahid ko
tujhe to hai faqat ‘mardan’ shah-e-abrar se matlab
Leave a Reply