iqrar ka matlab ho ki inkar ke ma.ani
koi to ho samjhe miri guftar ke ma.ani
us jaisa koi ho to kahe us ki misalen
ho yaar sa koi to kare yaar ke ma.ani
ye jism dil-o-jan to hain bin mange hi tere
phir kya hain tire dast-e-talabgar ke ma.ani
ik vo ki uThata gaya buniyad barabar
ik main ki samajhta gaya divar ke ma.ani
bachpan hai javani hai buḌhapa hai ye kya hai
marna hi agar hai to phir advar ke ma.ani
phulon ko phalon ko sar-e-afkar sajaya
ya.ani ki kiye yuun lab-o-ruḳhsar ke ma.ani
jaata hai to jaate hue dil ko bhi jala ja
jab tu hi na Thahrega to ghar-bar ke ma.ani
har chiiz yahan apne lavazim ki hai muhtaj
sahab hi na Thahroge to dastar ke ma.ani
ai kaash ki jis ke liye kahta huun main ‘tahir’
vo mujh ko bata.e mire ash.ar ke ma.ani
Leave a Reply