kya hi tapta hai sulagta hai dhuan deta hai
hijr ki shaam to dil bandh saman deta hai
kaun kambaḳht na chahega nikalna lekin
itni mohlat hi tira daam kahan deta hai
qaul to ek bhi puura na hua ab dekhun
kya dalil us ki mira sho.ala-bayan deta hai
tab-e-nazuk pe guzarta hai garan to guzre
zeb vahshi ko yahi tarz-e-fughan deta hai
ḳhaas bandon ko pukarega idhar to rizvan
davat-e-am idhar shahr-e-butan deta hai
ek muddat se badan barf hai lekin ab tak
karvaTen dil ko koi soz nihan deta hai
naznin paḌhte hain ‘rahil’ ki ghazlen kya ḳhuub
daad har sher ki har pir-o-javan deta hai
Leave a Reply