kyuun main ab qabil-e-jafa na raha
kya hua kahiye mujh men kya na raha
un ki mahfil men us ke charche hain
mujh se achchha mira fasana raha
vaaiz o mohtasib ka jamghat hai
mai-kada ab to mai-kada na raha
uf-re na-ashnaiyan us ki
chaar din bhi to ashna na raha
laakh parde men koi kyuun na chhupe
raz-e-ulfat to ab chhupa na raha
itni mayusiyan bhi kya ‘bekhud’
kya khuda ka bhi aasra na raha
Leave a Reply