jahan ko abhi tab-e-ulfat nahin hai
bashar men abhi adamiyat nahin hai
takalluf agar hai haqiqat nahin hai
tasanno zaban-e-mohabbat nahin hai
zaruri ho jis ke liye ek dozaḳh
vo mere tasavvur ki jannat nahin hai
mire dil men ik to hai tujh se hasin-tar
mujhe ab tiri kuchh zarurat nahin hai
mohabbat yaqinan ḳhilaf-e-ḳhirzad hai
magar aql hi ik haqiqat nahin hai
use ek betabi-e-shauq samjho
taghaful ka shikva shikayat nahin hai
mujhe kar ke chup koi kahta hai hans kar
unhen baat karne ki aadat nahin hai
kabhi ho sakega na ‘mulla’ ka iman
jis iman men dil ki nubuvvat nahin hai
Leave a Reply