kya satate ho raho banda-navaz
ki nahin ḳhuub ye ḳhu banda-navaz
be-sabab be-vaj.h o be-taqsir
is qadar ghussa na ho banda-navaz
zulm nahaq na karo koi din
jiyo aur jivne do banda-navaz
mai-kasho biich na baiTho hargiz
ḳhuun mera na piyo banda-navaz
itr ko mal ke na aao ham paas
zab.h karti hai ye bu banda-navaz
kab talak apni kahe jaoge
baat meri bhi suno banda-navaz
vajib-ul-qatl tumhara main huun
aur ka naam na lo banda-navaz
go ki sab mujh ko bura kahte hain
tum zaban siin na kaho banda-navaz
kis ka munh hai jo tire sanmukh ho
ho na ho a.ina ho banda-navaz
ja tiri chashm men meri hai ja
sarv ho hai lab-e-ju banda-navaz
vasf-e-kakul men sada goya hai
jo zaban har sar-e-mu banda-navaz
dil se ‘hatim’ ba-ḳhuda banda hai
duur ḳhidmat se hai go banda-navaz
Leave a Reply