jo tire gham ki girani se nikal sakta hai
har musibat men ravani se nikal sakta hai
tu jo ye jaan hatheli pe liye phirta hai
tera kirdar kahani se nikal sakta hai
shahr-e-inkar ki pur-pech si in galiyon se
tu faqat ijz-bayani se nikal sakta hai
gardish-e-daur tire saath chale chalta huun
kaam agar naql-e-makani se nikal sakta hai
ai miri qaum chali aa mire pichhe pichhe
koi rasta bhi to paani se nikal sakta hai
Leave a Reply