taqdir ka shikva be-maani jiina hi tujhe manzur nahin
aap apna muqaddar ban na sake itna to koi majbur nahin
ye mahfil-e-ahl-e-dil hai yahan ham sab mai-kash ham sab saaqi
tafriq karen insanon men is bazm ka ye dastur nahin
jannat ba-nigah tasnim ba-lab andaz us ke ai shaikh na puchh
main jis se mohabbat karta huun insan hai khayali huur nahin
vo kaun si subhen hain jin men bedar nahin afsun tera
vo kaun si kaali raten hain jo mere nashe men chuur nahin
sunte hain ki kante se gul tak hain raah men lakhon virane
kahta hai magar ye azm-e-junun sahra se gulistan duur nahin
‘majruh’ uthi hai mauj-e-saba asar liye tufanon ke
har qatra-e-shabnam ban jaae ik ju-e-ravan kuchh duur nahin
Leave a Reply