kya isi taur hi ye saara safar jaana hai
kya kahin rukna nahin yuun hi guzar jaana hai
main tire ruuh ka ashiq huun magar janta huun
tera ye shoḳh badan bhi mire sar jaana hai
dasht ki ḳhaak huun main mera kahan ḳhud ka safar
tai karegi ye hava mujh ko kidhar jaana hai
shart ye thi ki na bichhaḌenge kabhi jiite ji
ye nahin thi ki bichhaḌ jaa.en to mar jaana hai
ab rah-e-ishq men ham kho bhi agar jaa.en to kya
kis ko is dasht se phir lauT ke ghar jaana hai
vo tumhen yaad kara.ega purani baten
ai dil-e-sada tumhen saaf mukar jaana hai
ye mira pahla safar tha so bhaTakna hi paḌa
kaun ye mujh ko batata ke kidhar jaana hai
bas kisi tarah tumhen paar kara den ik baar
phir safinon ko samundar men utar jaana hai
Leave a Reply