in ko nafrat ise kya kahte hain
ham ko raghbat ise kya kahte hain
naqd-e-dil le ke hamara na diya
khud badaulat ise kya kahte hain
roz-e-furqat bhi to hai tuul bahut
ai qayamat ise kya kahte hain
har pari-ru pe tujhe aa jaana
ai tabiat ise kya kahte hain
ghair ko bazm men bithla lena
ham ko rukhsat ise kya kahte hain
ek to ishq ka sadma mujh ko
us pe furqat ise kya kahte hain
naqd-e-dil ishq men dete hain ‘sakhi’
ai sakhavat ise kya kahte hain
Leave a Reply