• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mere Rone Par Kisi Ki Chashm Giryan Hae Hae

Mere Rone Par Kisi Ki Chashm Giryan Hae Hae

mere rone par kisi ki chashm giryan haa.e haa.e

vo gul-e-tar vo faza-e-shabnamistan haa.e haa.e

vo kisi ki yad-e-paiham sham-e-hijran haa.e haa.e

har nafas vaqf-e-nava-ha-e-pareshan haa.e haa.e

dil pe dard-e-ishq ka ek ek ehsan haa.e haa.e

jaan ki surat men koi dushman-e-jan haa.e haa.e

sub.h-e-hijran bad-tar-az-shab-ha-e-hijran haa.e haa.e

zindagi ik mustaqil ḳhvab-e-pareshan haa.e haa.e

dil ki rahat ke liye un ki mohabbat ke liye

koshish-e-be-sud phirta hadd-e-imkan haa.e haa.e

meri ḳhatir aur vo majburiyon ka e’tiraf

un ke nazuk dil ko bhi ehsas-e-hijran haa.e haa.e

kaifiyat-e-sajda-e-zauq-e-mohabbat al-aman

ka.aba-e-dil be-niyaz-e-kufr-o-iman haa.e haa.e

vo mira kaif-e-nazar vo be-ḳhudi vo sarḳhushi

fursat-e-nazzara-ha-e-husn-e-janan haa.e haa.e

un ki mahfil men bhi huun daman-kash-e-vahshat-ba-dil

har jagah ik alam-e-adab-e-zindan haa.e haa.e

yaas ki maujon men har manzar ka aḳhir Dubna

dil se vo uThta hua tufan-e-hirman haa.e haa.e

jo na samjhen dard kya hai dard ka ehsas kya

kab tak un ke vaste ‘basit’ ghazal-ḳhvan haa.e haa.e

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

momin-khan-momin

Main Agar Aap Se Jaun To Qarar Aa Jae

saleem-kausar

Charagh-E-Yaad Ki Lau Ham-Safar Kahan Tak Hai

poet

Hamari Sair Ko Gulshan Se Ku-E-Yar Behtar Tha

Meri Arzani Se Mujhko Wo Nikalega Magar

Mere Kuchh Bhi Kahe Ko kaTta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet