dil bhi jaise hamara kamra tha
kul asasa zamin pe bikhra tha
asman hi uTha liya sar pe
jaane kya kuchh zamin pe guzra tha
phir na.i ḳhvahishen ubhar aa.iin
dil abhi hadson se ubra tha
chand ki chandni baja lekin
rang us ka bhi saaf suthra tha
kya hua Duub kyuun gaya aḳhir
ḳhvab to sahilon pe utra tha
ashiyan to bana liya lekin
ab hamen andhiyon ka ḳhatra tha
ab faqat zindagi bitate hain
varna apna bhi naz-o-naḳhra tha
Leave a Reply