aise ki mohabbat ko mohabbat na kahenge
is aam inayat ko inayat na kahenge
kahiye to kahun anjuman-e-ghair ko rudad
kya ab bhi ise aap karamat na kahenge
samjhenge na aghyar ko aghyar kahan tak
kab tak vo mohabbat ko mohabbat na kahenge
jab arbada-ju tum ho to kyuun sabr sameten
ham is men raqibon ki shararat na kahenge
hai yaad ‘zahir’ un ka shab-e-vasl bigadna
vo talkhi-e-dushnam ki lazzat na kahenge
Leave a Reply