agar tum rok do iz.har-e-lachari karunga
jo kahni hai magar vo baat main saari karunga
mira dil bhar gaya basti ki raunaq se sau ab main
kisi jalte hue sahra ki tayyari karunga
sar-e-rah tamanna khaak dalunga main sar men
jo aansu bujh gae un ki aza-dari karunga
mujhe ab aa gae hain nafraton ke biij bone
so mera haq ye banta hai ki sardari karunga
main le aunga maidan men sabhi lafzon ke lashkar
aur un se lauh-e-fikr-o-fan pe purkari karunga
kai gham aa gae hain haal mera puchhne ko
main ab is haal men kis kis ki dildari karunga
Leave a Reply