• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Qahr Hai Maut Hai Qaza Hai Ishq

Qahr Hai Maut Hai Qaza Hai Ishq

momin-khan-momin

qahr hai maut hai qaza hai ishq

sach to yuun hai buri bala hai ishq

asar-e-gham zara bata dena

vo bahut puchhte hain kya hai ishq

afat-e-jan hai koi parda-nashin

ki mire dil men aa chhupa hai ishq

bul-havas aur laf-e-jan-bazi

khel kaisa samajh liya hai ishq

vasl men ehtimal-e-shadi-e-marg

charagar dard-e-be-dava hai ishq

sujhe kyunkar fareb-e-dildari

dushman-ashna-numa hai ishq

kis malahat-sirisht ko chaha

talkh-kami pe ba-maza hai ishq

ham ko tarjih tum pe hai yaani

dilruba husn o jan-ruba hai ishq

dekh halat miri kahen kafir

naam dozakh ka kyuun dhara hai ishq

dekhiye kis jagah dubo dega

meri kashti ka nakhuda hai ishq

ab to dil ishq ka maza chakkha

ham na kahte the kyuun bura hai ishq

aap mujh se nibahenge sach hai

ba-vafa husn o bevafa hai ishq

main vo majnun-e-vahshat-ara huun

naam se mere bhagta hai ishq

qais o farhad o vamiq o ‘momin’

mar gae sab hi kya vaba hai ishq

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHud Ko Na Ai Bashar Kabhi Qismat Pe chhoD Tu

poet

Mubarak Dosto Tumko Tumhaari Bazm-Arai

pirzada-qasim

Ayan Hum Par Na Hone Ki Khushi Hone Lagi Hai

poet

Dil Ki Basti Pe Kisi Dard Ka Saya Bhi Nahin

Hawa Aashufta-Tar Rakhti Hai Hum Aashufta-Haalon Ko

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet