char-su phaila hua kar-e-jahan rahne diya
ruk ga.e ham aur har shai ko ravan rahne diya
apne gumbad men kahan se aa.egi taaza hava
ik daricha bhi khula ham ne kahan rahne diya
bal-o-par qaa.em the sabit himmat-e-parvaz thi
kuchh zamin raas aa ga.i bas asman rahne diya
roz-e-raushan aaj suraj ne kiya goya kamal
barf-saman qatra qatra asman rahne diya
ham ne apne vaste bas ik jazira chun liya
aur bahr-e-be-karan ko be-karan rahne diya
zindagani ho ga.i gosha-nashini men tamam
mil to sakta tha magar saara jahan rahne diya
apni qismat ke liye vo ik sitara tha bahut
dastaras to thi magar sab asman rahne diya
kuchh mizaj apna hi tha ‘betab’ un sab se juda
bas akele chal diye ham karvan rahne diya
Leave a Reply