kahani ishq ki ya.ani yahi hai
yahi hai aag aur paani yahi hai
main karta aaya huun bas tere man ki
mujhe lagta tha man ma.ani yahi hai
vo manzar ḳhush hon jis se saare nazir
badal jaata hai hairani yahi hai
tire ruḳh se nahin haTte kisi taur
nigahon ki nigahbani yahi hai
bahut mushkil tha us ko bhuul jaana
main mushkil men huun asani yahi hai
Leave a Reply