ḳhud apna haal dil-e-mubtala se kuchh na kaha
dua se haath uTha.e ḳhuda se kuchh na kaha
kise suna.un ki na-saz hai junun ka mizaj
ḳhud apne shahr ki ab-o-hava se kuchh na kaha
ye kis se ishq hua kyuun hua ta.ajjub hai
vo ḳhauf hai ki kisi ashna se kuchh na kaha
ye hosh hai ki guzar ja.egi phuvar ki rut
magar ye zo.am ki uudi ghaTa se kuchh na kaha
tire ḳhiram ko dekha ba-chashm-e-hasrat-o-yas
tamam umr tire naqsh-e-pa se kuchh na kaha
khule to kaise khule raz-e-unfuvan-e-shabab
haya ne kya tire band-e-qaba se kuchh na kaha
vo kya ada thi ki lahloT ho ga.e tum ‘shaz’
ghazab kiya usi jan-e-ada se kuchh na kaha
Leave a Reply