na-tavani men palak ko bhi hilaya na gaya
dekh ke un ko ishare se bulaya na gaya
sakht-tar sang se bhi dil hai unhon ka shayad
naqsh jis par kisi unvan bithaya na gaya
gulshan-e-khuld men har-chand ki dil bahlaya
kucha-e-yar magar dil se bhulaya na gaya
shikan-e-zulf se dil saaf nazar aata hai
is andhere men taajjub hai chhupaya na gaya
dekh kar kal vo mira hal-e-pareshan ‘arif’
aisa ghabrae ki ankhon ko churaya na gaya
Leave a Reply