hasin vo chehra hai mahtab ka javab koi
ki mere aage hai ik nuur ki kitab koi
tamam umr use hajat-e-surur nahin
tumhari aankh se pi le agar sharab koi
vajud paata huun ḳhushbu ka aaj apne gird
khila hai un ki navazish ka phir gulab koi
na le saka koi jab chuTkiyon men zarron ko
chala hai aaj pakaḌne ko aftab koi
hai mere vaste maazi ki yaad sarmaya
ye aur baat hai jaane ise azaab koi
ayaan ḳhuda pe hi ‘shaghil’ hain apne aib-o-hunar
siva ḳhuda ke na le ham se ab hisab koi
Leave a Reply