tire ḳhayal ko zanjir karta rahta huun
main apne ḳhvab ki tabir karta rahta huun
tamam rang adhure lage tire aage
so tujh ko lafz men tasvir karta rahta huun
jo baat dil se zaban tak safar nahin karti
usi ko sher men tahrir karta rahta huun
dukhon ko apne chhupata huun main dafinon sa
magar ḳhushi ko hama-gir karta rahta huun
guzishta rut ka amiin huun na.e makan men bhi
purani iinT se ta.amir karta rahta huun
mujhe bhi shauq hai duniya ko zer karne ka
main apne aap ko tasḳhir karta rahta huun
zamin hai ki badalti nahin kabhi mehvar
main kaisi kaisi tadabir karta rahta huun
jo main huun us ko chhupata huun saare aalam se
jo main nahin huun vo tash.hir karta rahta huun
Leave a Reply