dusra faisla nahin hota
ishq men mashvara nahin hota
ḳhud hi sau raste nikalte hain
jab koi rasta nahin hota
jab talak ru-ba-ru na ho koi
aa.ina aa.ina nahin hota
apna samjha to kah diya varna
ghair se to gila nahin hota
kuchh na kuchh pahle khona paḌta hai
muft men tajraba nahin hota
Leave a Reply