teri surat ko dekhta huun main
us ki qudrat ko dekhta huun main
jab hui sub.h aa ga.e naseh
unhin hazrat ko dekhta huun main
vo musibat suni nahin jaati
jis musibat ko dekhta huun main
dekhne aa.e hain jo meri nabz
un ki surat ko dekhta huun main
maut mujh ko dikha.i deti hai
jab tabi.at ko dekhta huun main
shab-e-furqat uTha uTha kar sar
sub.h-e-ishrat ko dekhta huun main
duur baiTha hua sar-e-mahfil
rang-e-sohbat ko dekhta huun main
har musibat hai be-maza shab-e-gham
aafat aafat ko dekhta huun main
na mohabbat ko jante ho tum
na muravvat ko dekhta huun main
koi dushman ko yuun na dekhega
jaise qismat ko dekhta huun main
hashr men ‘dagh’ koi dost nahin
saari ḳhilqat ko dekhta huun main
Leave a Reply