• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Maine Ye Jab Suna to Mera Dil Dahal Gaya

Maine Ye Jab Suna to Mera Dil Dahal Gaya

main ne ye jab suna to mira dil dahal gaya

suraj ka jism aag ki lapTon se jal gaya

mausam ne aisi aag laga.i thi raat men

mere badan men ḳhuun tha jitna ubal gaya

sukhe labon ki pyaas bujhane ke vaste

kal raat chand barf ki surat pighal gaya

manzar ajab ye dekh ke hairat-zada hain phuul

shabnam ka paanv dhuup ki shiddat se jal gaya

ta.abir ki hatheliyan piili na ho sakin

ik ḳhauf mere ḳhvab ke sar ko kuchal gaya

parchha.iyon ne aks ke kapḌe pahan liye

a.ina jab se sang ke paikar men Dhal gaya

kaise bata.en tujh ko ki teri talash men

saaya hamare jism ka paidal nikal gaya

honTon se tere lafzon ke badal baras ga.e

ḳhamoshiyon ka dasht-e-sukun tha jo jal gaya

jalte hue charagh pe juun hi nazar paḌi

kuchh sar-phiri havaon ka lahja badal gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Har ghaDi Mujhko Be-Qarar Na Kar

KHuda Hua Na Koi Aur Hi Gawah Hua

Main Kya Hun Kaun Hun Ye Bhi KHabar Nahin Mujhko

Teri Yaadon Mein Khoe Rahen Meri Jaan

Goya Zaban Haal Thi Sahir KHamosh Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet