baal baal duniya par us ka hi ijara hai
vaqt ḳhali hathon se ham ne bhi guzara hai
ku-ba-ku barasta hai yam-ba-yam ubalta hai
ḳhun-e-adamiyat se naqsh la sanvara hai
le chalo charaghon ko kar ke ḳhuun se raushan
dasht ki siyahi ne ham ko bhi pukara hai
zad-e-rah ka ham se kyuun saval karte ho
rahzanon ke narghe men jab hamen utara hai
har-nafas qafas men hon kaise maan luun ‘naqvi’
ab khuli faza.en hain asman hamara hai
Leave a Reply