• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Har Ek Jaanib Hai Raqs Karti Ajib Si Chup

Har Ek Jaanib Hai Raqs Karti Ajib Si Chup

har ek janib hai raqs karti ajiib si chup

ye dil ke angan men nauha likhti ajiib si chup

rah-e-vafa men jahan pe bhaTka tha ik musafir

vahin kahin pe hai haath malti ajiib si chup

hai kuchh sadaon ka pichha karti miri sama.at

aur ik ḳhamoshi se mujh ko takti ajiib si chup

vo meri palkon ke saa.e saa.e vafa ki belen

aur un se ḳhvabon ke phuul chunti ajiib si chup

ufuq pe yadon ke zard anchal men lipTa suraj

aur us pe shamon ke saath Dhalti ajiib si chup

vo pichhle mausam ka haath thame hasin manzar

vo agle mausam men us se laḌti ajiib si chup

vo ḳhush-gumani ki konpalon par khili tamanna

aur us ke haq men dua.en karti ajiib si chup

vo sard raton men ansuon ke charagh raushan

aur un charaghon ki lau men jalti ajiib si chup

vo ḳhvahishon ke badan se uThti sunahri ḳhushbu

vo dil ke mausam men chhup ke roti ajiib si chup

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHulus Ho to Dua Mein Asar Bhi Aata Hai

mushafi-ghulam-hamdani

Bagh Tha Usmein Aashiyan Bhi Tha

Apni Auqat Zamane Ko Batate Aae

Aashiq Jo Is Gali Ka Bhi Mar Kar Chala Gaya

Takmil-E-Ishq Jab Ho Ki Sahra Bhi chhoD De

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet