gale lagaen karen pyaar tum ko iid ke din
idhar to aao mire gul-ezar iid ke din
ghazab ka husn hai araishen qayamat ki
ayaan hai qudrat-e-parvardigar iid ke din
sambhal saki na tabiat kisi tarah meri
raha na dil pe mujhe ikhtiyar iid ke din
vo saal bhar se kudurat bhari jo thi dil men
vo duur ho gai bas ek baar iid ke din
laga liya unhen siine se josh-e-ulfat men
gharaz ki aa hi gaya mujh ko pyaar iid ke din
kahin hai naghma-e-bulbul kahin hai khanda-e-gul
ayaan hai josh-e-shabab-e-bahar iid ke din
sivayyan duudh shakar meva sab muhayya hai
magar ye sab hai mujhe nagavar iid ke din
mile agar lab-e-shirin ka tere ik bosa
to lutf ho mujhe albatta yaar iid ke din
Leave a Reply