kaabe ki hai havas kabhi ku-e-butan ki hai
mujh ko khabar nahin miri mitti kahan ki hai
sun ke mira fasana unhen lutf aa gaya
sunta huun ab ki roz talab qissa-khvan ki hai
paigham-bar ki baat par aapas men ranj kya
meri zaban ki hai na tumhari zaban ki hai
kuchh tazgi ho lazzat-e-azar ke liye
har dam mujhe talash nae asman ki hai
jan-bar bhi ho gae hain bahut mujh se nim-jan
kya gham hai ai tabib jo puuri vahan ki hai
hasrat baras rahi hai hamare mazar par
kahte hain sab ye qabr kisi naujavan ki hai
vaqt-e-khiram-e-naz dikha do juda juda
ye chaal hashr ki ye ravish asman ki hai
fursat kahan ki ham se kisi vaqt tu mile
din ghair ka hai raat tire pasban ki hai
qasid ki guftugu se tasalli ho kis tarah
chhupti nahin vo baat jo teri zaban ki hai
jaur-e-raqib o zulm-e-falak ka nahin khayal
tashvish ek khatir-e-na-mehrban ki hai
sun kar mira fasana-e-gham us ne ye kaha
ho jaae jhuut sach yahi khubi bayan ki hai
daman sambhal bandh kamar astin chadha
khanjar nikal dil men agar imtihan ki hai
har har nafas men dil se nikalne laga ghubar
kya jaane gard-e-rah ye kis karvan ki hai
kyunki na aate khuld se aadam zamin par
mauzun vahin vo khuub hai jo sunte jahan ki hai
taqdir se ye puchh raha huun ki ishq men
tadbir koi bhi sitam-e-na-gahan ki hai
urdu hai jis ka naam hamin jante hain ‘dagh’
hindostan men dhuum hamari zaban ki hai
Leave a Reply