is baras fasl-e-baharan ki tarah vapas aa
to miri jaan hai janan ki tarah vapas aa
muntazir kab se hai taron ka samundar tera
shaam se shahr-e-nigaran ki tarah vapas aa
is tarah aa ki andheron men ujala jaage
ek shab sham-e-farozan ki tarah vapas aa
phuul ban ja.engi suraj ki dahakti kirnen
dasht men rang-e-gulistan ki tarah vapas aa
is se pahle ki gurezan hon ye ḳhushbu lamhe
tu mire ahd-e-gurezan ki tarah vapas aa
aa ki ham DhunDh len ashkon men hansi ke lamhe
tu bhi is gardish-e-dauran ki tarah vapas aa
tujh pe lazim hai vafaon ka bharam rakh lena
bhule-bisre kisi paiman ki tarah vapas aa
kaun sunta hai vahan teri sada.en ‘mina’
apne ghar shahr-e-ḳhamoshan ki tarah vapas aa
Leave a Reply