jo gum-gashta hai us ki zaat kya hai
gharib-e-shahr ki auqat kya hai
saron par saya-e-afat kya hai
jo kaTti hi nahin vo raat kya hai
na hone aur hone ki haqiqat
saval-e-nafi-o-isbat kya hai
jami hai gard ki tah bastiyon par
hava ke haath men saughat kya hai
hiqarat men bujhe kuchh tir-o-nashtar
mire kashkol men ḳhairat kya hai
bujha paa.en na un ko oḌh paa.en
guzishta mausamon ki baat kya hai
kabhi dekha na us ko bar-avar
hamari fasl-e-imkanat kya hai
varaq par kyuun utarte hain sharare
lahu men sho.ala-e-jazbat kya hai
ubharte Dubte rahte hain saa.e
tamasha ek sa din raat kya hai
Leave a Reply