• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Apne Ehsas Se Bahar Nahin Hone Deta

Apne Ehsas Se Bahar Nahin Hone Deta

apne ehsas se bahar nahin hone deta

raaz zahir bhi ye mujh par nahin hone deta

ḳhauf-e-rusva.i se kar deta hai hairan aisa

meri ankhon ko samundar nahin hone deta

mom kar deta hai jab lauT ke aa jaata hai

mujh ko furqat men vo patthar nahin hone deta

dekhta huun to kabhi chand kabhi phuul hai vo

apni surat mujhe azbar nahin hone deta

ji men hai uḌ ke chala ja.un jahan rahta hai

vo mira ghar bhi mira ghar nahin hone deta

jab bhi milta hai to bas TuuT ke milta hai mujhe

apne gham ka mujhe ḳhugar nahin hone deta

ruuTh bhi jaate hain ‘ja.afar’ to mana lene men

mujh ko apne se vo behtar nahin hone deta

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHud Wo Aate Agar Yaqin Hota

Naya Suraj Naya Dariya Nai Kashti Banate Hain

Ek Baat Bahut KHas Thi Chehron Ke Safar Mein

poet

Lab-E-Rangin Hain Tere Rashk-E-Aqiq-E-Yamani

poet

Aate Aate Tarf Mere Mud Ke Phir Kidhar Chale

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet