aankh men paani rakho honton pe chingari rakho
zinda rahna hai to tarkiben bahut saari rakho
raah ke patthar se badh kar kuchh nahin hain manzilen
raste avaz dete hain safar jaari rakho
ek hi naddi ke hain ye do kinare dosto
dostana zindagi se maut se yaari rakho
aate jaate pal ye kahte hain hamare kaan men
kuuch ka ailan hone ko hai tayyari rakho
ye zaruri hai ki ankhon ka bharam qaaem rahe
niind rakho ya na rakho khvab meyari rakho
ye havaen ud na jaaen le ke kaghaz ka badan
dosto mujh par koi patthar zara bhari rakho
le to aae shairi bazar men ‘rahat’ miyan
kya zaruri hai ki lahje ko bhi bazari rakho
Leave a Reply