Dil Ke Dar Par Qufl paDa Hai Tum Bhi Chup Ho Hum Bhi Chup

dil ke dar par qufl paḌā hai tum bhī chup ho ham bhī chup

ḳhāmoshī ab shart-e-vafā hai tum bhī chup ho ham bhī chup

be-sautī ab saut-o-sadā hai tum bhī chup ho ham bhī chup

lafzoñ kā dam TuuT gayā hai tum bhī chup ho ham bhī chup

kal tak to jhankār salāsil kī thī jiine kā paiġhām

aaj ye kaisā vaqt paḌā hai tum bhī chup ho ham bhī chup

gulshan gulshan sahrā sahrā kis ne phūñkā aisā fusūñ

ik ik taa.ir sañg huā hai tum bhī chup ho ham bhī chup

dil se rishta TuuT gayā hai ab to zabāñ kā bhī ‘shiblī’

is se baḌh kar koī sazā hai tum bhī chup ho ham bhī chup

Leave a Comment