har koi dil ki hatheli pe hai sahra rakkhe
kis ko sairab kare vo kise pyasa rakkhe
umr bhar kaun nibhata hai taalluq itna
ai miri jaan ke dushman tujhe allah rakkhe
ham ko achchha nahin lagta koi hamnam tira
koi tujh sa ho to phir naam bhi tujh sa rakkhe
dil bhi pagal hai ki us shakhs se vabasta hai
jo kisi aur ka hone de na apna rakkhe
kam nahin tama-e-ibadat bhi to hirs-e-zar se
faqr to vo hai ki jo diin na duniya rakkhe
hans na itna bhi faqiron ke akele-pan par
ja khuda meri tarah tujh ko bhi tanha rakkhe
ye qanaat hai itaat hai ki chahat hai ‘faraz’
ham to raazi hain vo jis haal men jaisa rakkhe
Leave a Reply