palaT kar ashk su-e-chashm-e-tar aata nahin hai
ye vo bhaTka musafir hai jo ghar aata nahin hai
qafas ab ashiyan hai ḳhaak par likkhi hai rozi
kabhi dil men ḳhayal-e-bal-o-par aata nahin hai
pahaḌon ki siyahi se fuzun dil ki siyahi
vo husn ab apni ankhon ko nazar aata nahin hai
shajar barson se naqsh-e-ra.egan ban kar khaḌe hain
koi mausam ho shaḳhon men samar aata nahin hai
mire is avvalin ashk-e-mohabbat par nazar kar
ye moti siip men phir umr-bhar aata nahin hai
koi qatil ravan hai meri shiryanon men ‘ḳhurshid’
jo mujh ko qatl karta hai nazar aata nahin hai
Leave a Reply