sher likhne ka faeda kya hai
us se kahne ko ab raha kya hai
pahle se tai-shuda mohabbat men
tu bata tera mashvara kya hai
surkh kyuun ho rahe hain tere kaan
main ne tujh se abhi kaha kya hai
ankhen mal mal ke dekhta huun use
dopahar men ye chand sa kya hai
mera ham-asr sub.h ka taara
mere baare men janta kya hai
sochte hont bolti ankhen
hairati ka mukalima kya hai
shor sa uth raha hai char-taraf
kuchh gira hai magar gira kya hai
main yahan se palatna chahta huun
ai khuda tera mashvara kya hai
jism ke us taraf hai gul abad
phand divar dekhta kya hai
meri khud se mufahamat na hui
tu bata tera masala kya hai
is liye bolne pe huun majbur
aap sochenge sochta kya hai
ye bahut der men hua maalum
ishq kya hai mughalta kya hai
main to aadi huun khaak chhanne ka
tum batao ki dhundhna kya hai
ishq kar ke bhi khul nahin paaya
tera mera moamla kya hai
main bana tha khanakti mitti se
mere andar sukut sa kya hai
Leave a Reply