zer-e-bam gumbad-e-ḳhazra azaan
vo bilali saut vo same.a kahan
khojta hai an-ginat masjud men
qul-ho-allaho-ahad ka sa.eban
but-tarashi char-su hai jalva-gar
de ga.i sab ki jabinon ko nishan
yasiyat ne karb ke dar va kiye
ḳhushk ummidon ka gulshan hai yahan
to rahin-e-ḳhana-ha-e-iztirab
uTh raha hai tere chilman se dhuan
zulmaten saya-fagan hain har taraf
bam-o-dar par raqs men nau-midiyan
ruk zara paḌh kalma-e-la-taqnatu
ḳhud-baḳhud rauzan khulenge darmiyan
hauslon ke phir se ug a.enge par
azm-e-mohkam ko bana le sa.eban
Leave a Reply