• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ai Subah Main Ab Kahan Raha Hun

Ai Subah Main Ab Kahan Raha Hun

jaun-eliya

ai subah main ab kahan raha huun

khvabon hi men sarf ho chuka huun

sab mere baghair mutmain hon

main sab ke baghair ji raha huun

kya hai jo badal gai hai duniya

main bhi to bahut badal gaya huun

go apne hazar naam rakh luun

par apne siva main aur kya huun

main jurm ka e’tiraf kar ke

kuchh aur hai jo chhupa gaya huun

main aur faqat usi ki khvahish

akhlaq men jhuut bolta huun

ik shakhs jo mujh se vaqt le kar

aaj aa na saka to khush hua huun

har shakhs se be-niyaz ho ja

phir sab se ye kah ki main khuda huun

charke to tujhe diye hain main ne

par khuun bhi main hi thukta huun

roya huun to apne doston men

par tujh se to hans ke hi mila huun

ai shakhs main teri justuju se

bezar nahin huun thak gaya huun

main sham-e-sahar ka naghma-gar tha

ab thak ke karahne laga huun

kal par hi rakho vafa ki baten

main aaj bahut bojha hua huun

koi bhi nahin hai mujh se nadim

bas tai ye hua ki main bura huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

sameT Kar Teri Yaadon Ke Phul Daman Mein

Sultan Baho

Tasbih da Tun Kasbi Hoyon dam Maren Sang Baliyan Hu

poet

Waqar-E-Shah-E-Zawil-Iqtadar Dekh Chuke

Qarib Maut khaDi Hai Zara Thahar Jao

adil-hayat

Nahin Koi Khabar Karna Nahin Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet