vo mard hai jo kabhi shikva-e-jafa na kare
labon pe dam ho magar nala-o-buka na kare
kisi ka mujh pe kuchh ehsan ho ḳhuda na kare
dava to kya mire haq men koi dua na kare
kahan se jaan paḌe zindagi ke murdon men
ada-e-husn qayamat agar bapa na kare
ada-e-be-ḳhabari hai ki ik tilism-e-jamal
nigah-e-shauq se vaqif hon vo ḳhuda na kare
gharaz mujhe na dar-e-tajdar tak le jaa.e
salam karne ki hajat paḌe ḳhuda na kare
koi azab-e-jahannam men mubtala ho jaa.e
uruuj pa ke zamin par gire ḳhuda na kare
na dil men dard kisi ke liye na pas-e-vafa
ham aise arif-e-ḳhud-kam hon ḳhuda na kare
buzurg ban ke main baiThun ye ho nahin sakta
koi baḌa mujhe samjhe ‘jigar’ ḳhuda na kare
Leave a Reply