• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ajab Sukut Sa Tari Hai Dil Ke KHanon Mein

Ajab Sukut Sa Tari Hai Dil Ke KHanon Mein

ajab sukut sa taari hai dil ke ḳhanon men

ki dhaḌkanen bhi miri gunjti hain kanon men

zara si tirgi dekhen jo asmanon men

tuyur lauTne lagte hain ashiyanon men

ik ek kar ke sabhi kuuch karte jaate hain

koi paret hai kya shahr ke makanon men

vo jin men dekhne se dil ka haal dikh jaa.e

koi vo aa.ine rakh de nigar ḳhanon men

darun-e-dil jo tiri yaad ke dafine hain

bahut se qimti moti hain in ḳhazanon men

suḳhan ke shahr men kuchh bhi naya nahin aaya

purana maal hi bikta hai sab dukanon men

kisi bhi haal men us ko mana ke le aa.uun

palaT sakun jo main guzre hue zamanon men

gulab suukh ke shaḳhon se jhaḌ ga.e kab ke

ye chand ḳhaar hi baaqi hain phul-danon men

kabhi jo pyaar mohabbat ki baat niklegi

hamara naam bhi aa.ega dastanon men

vo jis men jaan se baḌh kar thi yaar ki izzat

‘zaki’ vo ashiqi milti hai ab fasanon men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aansuon Ne Bhi to Kar Di Hai Taraf-Dari Dekh

Ye Tamanna Thi Ki Hum Itne suKHnawar Hote

shahida-hasan

chand ke sath jal uThi main bhi

ismail-merathi

dal Ki Fariyaad

poet

Sahra Pe Gar Junun Mujhe Lawe Itab Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet