kya ranj ki yusuf ka ḳharidar nahin hai
ye shahr koi misr ka bazar nahin hai
kyuun meri giraftari pe hangama hai har su
vo kaun hai jo tera giraftar nahin hai
kis kis pe inayat na hui teri nazar ki
bas ek miri samt guhar-bar nahin hai
kyuun jur.at-e-iz.har pe hairan ho meri
abru hain tumhare koi talvar nahin hai
saaya hai mire sar pe ‘qamar’ dhuup shajar ka
baiTha huun jahan saya-e-divar nahin hai
Leave a Reply