• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tohmat-E-Chand Apne Zimme dhar Chale

Tohmat-E-Chand Apne Zimme dhar Chale

khwaja-meer-dard

tohmat-e-chand apne zimme dhar chale

jis liye aae the so ham kar chale

zindagi hai ya koi tufan hai

ham to is jiine ke hathon mar chale

kya hamen kaam in gulon se ai saba

ek dam aae idhar udhar chale

dosto dekha tamasha yaan ka sab

tum raho khush ham to apne ghar chale

aah bas mat ji jala tab janiye

jab koi afsun tira us par chale

ek main dil-resh huun vaisa hi dost

zakhm kitnon ke suna hai bhar chale

shama ke manind ham is bazm men

chashm-tar aae the daman-e-tar chale

dhundhte hain aap se us ko pare

shaikh sahab chhod ghar bahar chale

ham na jaane paae bahar aap se

vo hi aade aa gaya jidhar chale

ham jahan men aae the tanha vale

saath apne ab use le kar chale

juun sharar ai hasti-e-be-bud yaan

baare ham bhi apni baari bhar chale

saqiya yaan lag raha hai chal-chalav

jab talak bas chal sake saghar chale

‘dard’ kuchh maalum hai ye log sab

kis taraf se aae the kidhar chale

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Lahad Aur Hashr Mein Ye Farq Kam Pae Nahin Jate

bahadur-shah-zafar

Hai dil Ko Jo Yaad Aai Falak-E-Pir Kisi Ki

Jo Baat Dil Mein Thi Wo Kab Zaban Par Aai

poet

Main Lauh-E-Arz Par Nazil Hua Sahifa Hun

Aamaj-Gah-E-Tir-E-Sitam Kaun Hum Ki Aap

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet