• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kab Talak Shadabi-E-Fikr-O-Nazar Kaam Aaegi

Kab Talak Shadabi-E-Fikr-O-Nazar Kaam Aaegi

kab talak shadabi-e-fikr-o-nazar kaam aa.egi

giile kapḌe se hava paani uḌa le ja.egi

bhagte ghoḌe ki rasen khinchne se fa.eda

Dubte suraj ki kya raftar kam ho ja.egi

zehan par phaila rakhe hain jhinguron ne da.ere

aaj jo bhi baat sochunga mujhe uljha.egi

tak rahe hain kis ki janib najam ḳheme gaaḌ kar

dhuup niklegi to pahle mere ghar men aa.egi

khil uTha huun aaj main bhi us ki surat dekh kar

ye ghaḌi jab aa.egi mujh ko yunhi mahka.egi

fasl suraj men ugi hai tamtamati hai zamin

ye kahani pyaar karne se samajh men aa.egi

jism ki putli ko raushan kar ke duniya se guzar

aankh ḳhvahish ki nazar rakhti hai dhoka kha.egi

zard patte ki tarah be-ghar paḌa huun raah men

zard patte ko koi shaḳh-e-hava apna.egi

miTTiyon ki tah men moti paniyon par da.ere

sochta huun kaun si daulat mire haath aa.egi

saath leti ja hamen bhi Dubte suraj ki dhuup

raat ke gharon men teri yaad ham ko aa.egi

vo bhi ḳhushbu ki tarah ḳhud se alag rahne laga

jaane ye mauj-e-ḳhayal us ko kahan le ja.egi

khil rahi hai ḳhvahishon ki dhuup saare jism men

aankh kholunga to ye tasvir bhi kho ja.egi

bastiyon men jangalon men vadiyon men koh men

meri ḳhushbu meri dhaḌkan meri aahaT ja.egi

kitni tasviren mire andar se ubharengi ‘ḳhalil’

jab tiri avaz kanon se mire Takra.egi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

allama-iqbal

Maktabon Mein Kahin Ranai-E-Afkar Bhi Hai

nida-fazli

Naya din

indira-varma

Ye Mausam Surmai Hai Aur Main Hun

poet

Dil Tang usMein Ranj-O-Alam Shor-O-Shar Hon Jama

poet

Jis Qadar Zabt Kiya Aur Bhi Rona Aaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet