• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Phir Sar Kisi Ke Dar Pe Jhukae Hue Hain Hum

Phir Sar Kisi Ke Dar Pe Jhukae Hue Hain Hum

phir sar kisi ke dar pe jhuka.e hue hain ham

parde phir asman ke uTha.e hue hain ham

chha.i hui hai ishq ki phir dil pe be-ḳhudi

phir zindagi ko hosh men laa.e hue hain ham

jis ka har ek juzv hai iksir-e-zindagi

phir ḳhaak men vo jins mila.e hue hain ham

haan kaun puchhta hai ḳhushi ka nahufta raaz

phir gham ka baar dil pe uTha.e hue hain ham

haan kaun dars-e-ishq-e-junun ka hai ḳhvast-gar

aa.e ki har sabaq ko bhula.e hue hain ham

aa.e jise ho jada-e-rif.at ki aarzu

phir sar kisi ke dar pe jhuka.e hue hain ham

bai.at ko aa.e jis ko ho tahqiq ka ḳhayal

kaun-o-makan ke raaz ko paa.e hue hain ham

hasti ke dam-e-saḳht se ukta gaya hai kaun

kah do ki phir giraft men aa.e hue hain ham

haan kis ke pa-e-dil men hai zanjir-e-ab-o-gil

kah do ki dam-e-zulf men aa.e hue hain ham

haan kis ko justuju hai nasim-e-faragh ki

asudgi ko aag laga.e hue hain ham

haan kis ko sair-e-arz-o-sama ka hai ishtiyaq

dhuni phir us gali men rama.e hue hain ham

jis par nisar kaun-o-makan ki haqiqaten

phir ‘josh’ us fareb men aa.e hue hain ham

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mere Bhi Kuchh Gile the Magar Raat Ho Gai

haidar-ali-aatish

Jauhar Nahin Hamare Hain Sayyaad Par Khule

Apne KHwabon Ke Mai-Kade Mein Hun

shahryar

Justuju Jis Ki Thi Usko To Na Paya Humne

Lail-E-Shab-Tab chaTanon Mein Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet